Saturday, January 02, 2016

Nehru, Tibet, Aur Britain Ka Pret



Nehru ne Tibet mein ja ke Chin ke sath yuddh kyon nahin kiya? Ye bahut ajib baat hai. Nehru ne khud apni ajadi ke liye yuddh nahin kiya. Shanti ke raste se gaye. To fir Tibet ke liye banduk uthane ka sawal kahan paida hota hai?

Britain ka tha ki hum India par raj is liye kar rahe hain ki ye jungli log khud apne par shasan kar nahin sakte. Agar hum tumhe independence de dete hain to aapas mein kat mar karte rah jaoge. You don’t know how to govern. To World War II ke khatm hote hote British samrajya ka sharir to khatm ho chuka tha. Lekin British samrajyavad ka pret khatm nahin huwa. Usne wo shrir chhod diya. Usne wo sharir chhoda aur Amrika ke sharir mein ja ke ghush gaya. To on the behalf of Britain tab Ameriki wahi baat kahne lage. Ki tum ajad kyon huwe? Dekho, tumhari banegi nahin Pakistan se. To Pakistan ko prop karna shuru. To ye to galat baat hai. Ek desh ajad huwa hai aur aap usko harass par harass kiye ja rahe ho. Desh ajad bhi huwa ya nahin?

India Pakistan partition ke baad jo log mare wo Hitler ke yahudi hi the. Bengal famine mein jo log mare wo Hitler ke yahudi hi the. India Pakistan ka border demarcation janbujh ke kuchh is kism se kiya gaya ki log bhari tadat mein mare jate. Jis bande ne wo demaracation kiya, wo usi raat desh chhod ke bhag gaya. Kyon ki use bakhub malum tha usne kya kiya. Log marne wale hain, ye use maloon tha. Log mare usi style mein demarcation huwa tha.

To ye kahna ki Nehru ne Chin se jang kyon nahin lada, ye to Amrika ke sharir mein Britain ka pret bol raha hai. Chin ne galti ki. Tibet mere ko behad priya hai. Jitna Bharat priya hai utna Tibet priya hai mere ko. Lekin Nehru did not have the option to go to war. Jab Britain aur Amerika kah rahe ho ki tumne achha nahin kiya ajadi le liya, to Soviet Union ke tarah haath badhana, asha karna ki Chin ke sath dosti ho jata to achha rahata. Wo to understandable baat hai.

Yuddh kiya Amrika ne. Korean War, abhi tak chal raha hai. Jab ki Korea Tibet ke tarah remote nahin hai. Tibet abhi remote hai to us samay kaisa raha hoga? Bharat khud apne Akshay Chin ilake mein nahin ja sakta tha to Tibet to dur ki baat thi.

Yuddh kiya to Amerika ne Vietnam mein. Dekho kya huwa. Abhi tak sab afsos kar rahe hain.

Chin ne us samay galti ko. Lekin aaj ka solution wo hai jo Dalai Lama khud kah rahe hain. Tibet ko independence nahin chahiye, lekin Dalai Lama ko Chin ke bhitar jaa ke ghumfir karne ki ijajat ho. I support that.

Pakistan aur Bharat ko ye British divide and rule mindset ko 60-70 sal late hi samajh lena chahiye. Britain ke pret. Ki tension se fayada nahin. Chalo relationship ko normalize karte hain aur ek dusre se jam ke byapar karte hain. Shanti banate hain. Tarakki ki sonchte hain. Chhota sa tapu hai Britain. Kya hai? Aaj kya hai Bharat ke samne?

Duniya ke do sabse bade loktantron ko ek dusre ka number one ally ban jana chahiye. Jis tarah Madhesi Nepal mein kah rahe hain, Abhi Nahin To Kabhi Nahin. To abhi accha mauka hai. Obama ke final year mein. Bharat ko bhi regional outlook se upar uth kar ek global outlook ke or badhna chahiye. Militarily nahin, lekin trade, commerce ke raste to tatkal kar sakte hain.

Britain ka dhona chhodo. 21st century aa gaya hai. 1947: A Love Story ko bye bye karo. Bit gayi so baat gayi.

Chin ko bhi chahiye ki thoda maturity dikhao.

Nehru ne Chin ke sath Tibet mein ja ke yuddh nahin kiya is liye tumne Pakistan ko apna military ally nahin banaya. Tumne Pakistan ko apna military ally is liye banaya ki Britain ka pret tumhare sharir mein ja ke ghush gaya.


No comments: